Wednesday, September 29, 2010

EK FAISLA…………………………………. AMAN KE NAAM


Hogi subah jab kal  Har shakhs ko intezar rahega wo pal,
Aayega faisla jab adalat ka, Tahzeeb dekhenge insaaniyat ke kaifiyat ka,,

Faisle ki aarzowon mein hum dekhenge dopahar aur shaam,
Ye sonch kar darta hai dil ki phir ho na jaye koi katle aam,

Sab ne bandh rakha hai apne mazhab ka shehra, Kisi ko nazar nahi ata doosron ka chehra,
Har saksh chahta hai ki ho uski jeet sunehra, Is hood mien kahi hum kho na dein apne hum watan ka chehra,,

Haasil kuch bhi nahi,in aarmano ko todkar
Chalo ek ho jaye do dilo ko jod kar,,
Har sahmein hue chehre par hogi ek hi muskan, Har zuban par hoga ek hi paygaam
HAMARA DESH MAHAN.……………………...…HAMARA DESH MAHAN.

Phir bhi………..???
Har subah ko kyun detain hai har sawalon ko ek naya naam.,
Kyun baant detein hain aapne hi Vatan  ko kah kar “ ALLAH aur RAM “.
Isliye kahtein hai kya hoga apno ko kho kar,
Aisa na ho hum bant jayen apne hi vatan me rahkar.


Chalo ek naye subah ka aaghaz karein,
Phir dilon ko dilo se jod kar aabaad karein.

Mita dein in duriyon ko ….Aao aisi baat Karen,
Hum EK thein….hum EK hain….aur hum EK hi rahenge.

Inhi faislon se saari duniya hamein yaad kare,
YAHI tha wo EK FAISLA ,jin ko karenge dil se ahteram,
Tabhi jaakar ek din hoga ….jab hum keh sakenge HAMARA DESH MAHAN.





…………………………………………......BY
                                                     ASHUTOSH CHOUDHARY
                                                   {HARI NAGAR ,AASHRAM}
                                                        NEW DELHI-110014