Monday, November 19, 2007

Kya thi wajah ???

Kya 5th ODI match me bharat ki har ka karan yah tha ki series per uska kabza ho chukka tha ? Isliye khiladi match jeetne ki puri kosish nahi kar rahe the jabki Pakistan ka score khaas jyada nahi tha. Puri koshish karne per bhartiya khiladi match jeet sakte the.
Apne vichar vyakte karein.

4 comments:

Syed Nabeel Hasan said...

SCORE KOI KHAAS ZYAADAH NAHIN THA ...... Mere hisaab se 307 runs ka lakshya ka peecha karna kisi bhi team ke liye asaan nahin hota hai. Jin matches mein India ne jeet hasil kari hai usmein partnerships ka yogdan sabse zyadah raha hai. Aur yahi cheez aakhri ODI mein nahin ho paayi.

Anonymous said...

ये हो सकता है कि कुछ अहम खिलाड़ियों के बाहर बैठने के कारण नतीजे पर फ़र्क पड़ा हो लेकिन मेरे ख्याल में जो टीम उतारी गई थी वह पाकिस्तान से बेहतर थी। पहले 20 ओवर के अन्दर चार विकिट खोना और स्पिनरों के विरुद्घ धीमी रन रेट ने नतीजे पर असर डाला। निश्चित रूप से शोएब अख़्तर का न खेलना भी भारत को नुकसानदायक रहा (व्यंग्य)।

Anonymous said...

main aapse sahmat hoon , but top order ke jaldi out hone ke wajah se match india ke hath se nekal gaya

Anonymous said...

Mera vichar hai ki jis taraha bowler ko rest diya gaya tha usi taraha batsman ko v rest dena chahiyai tha.Bowlaro ki kamjor gaindabaji sai hi 307 ka score huwa.Yaha nayai gaindabajo nai apna sunahara awasar kho diya.Pakistan kai gaindabaj bahut majabut thi aur hamarai ballaibajo nai pura dam nahi dikhaya.Ho sakta hai jyada match khailana iska mukhya karan hai.Mera manana hai yaha india team nahi india kai selectoro nai match hara hai.Pakistan kai bad team Austarailiy jayegi unhai chahiyai tha ki nayai batsman khilanai chahiyai thai.