Wednesday, November 21, 2007

ONLINE MARRIAGE : Kaha tak sahi ???

Jaise jaise India main shadiyo ko jodne ke liye online suvidhawo ka upyog ho raha waise waise iska fayda uthakar bahut sare log aajkal gorakh dhandha bhi karne lage hain.

Ye raaz tab khula jab Liyaquat naam ka ek aadmi apne aap ko Britain ka engineer bata kar 50 se bhi zyada mahilaon ko apne jaal mein phasa chuka hai . Inmein se kuch mahilaon ke sath toh wo shaadi karne mein safal bhi ho gaya .Use abhi haal hi main Chennai mein giraftar kar liya gaya hai.

Ek online survey ke anusaar desh aur videsh mein sambandh jodne ke liye vivah sambandhi websites ka sahara lene ki pravirti logon mein din-ba-din badti ja rahi hai. Wahin doosri aur isi ke sath cyber crime bhi 4% prati hafte ki dar se badta ja raha hai.

Jahan ek taraf matrimonial sites customer ko assure karte hain ki unki site sabse zyada safe hai wahin din-ba-din ye crime badta hi ja raha hai.

Toh aise main ek bhola bhala aadmi jise kisi bhi tarah se apne beti ya bete ki shaadi karni hai wo kahan jaaye ?

Kripya apne vichar vyakt karein.

7 comments:

Anonymous said...

Jis tarah log apne kamo mai vyasta ho rahai hai aur samay ki kami ho rahi hai to log online shadi ki oor jyada akarshit ho rahai hai .Laikin kabhi kabhi online shadi bhi mushibat ka karan ban jati hai.Jo bhi log online shadi ko jyada mahatwa detai hai vow ya to bharatiya parampara ko nahi manatai ya shadi mai honai wali riwajo ko pasanda nahi karatai.Har log apnai vicharo sai sochatai hai,bus jarurat hai ki vicharo kai satah sath bharatiya samaj ko apaman na karai.

Anonymous said...

जैसा कि आपने कहा कि एक भोला-भाला आदमी अपनी बेटी की शादी के लिए क्या करे।ऊपर जो online marriage के अवगुणों को बताया है तो शायद ही कोई बाप इसे सही मनेगा।
जहाँ तक मेरा सवाल है मैं इसे सही नही मानती
अगर आप देखे तो आज भी rural area में बाप बेटी की शादी के लिए एक दरवाजे से दूसरा दरवाजा भटकता है।लेकिन शहरों में वक्त की कमी के कारण लोग online marriage को ज्य़ादा महत्व दे रहे है और उनका फल उन्हे भोगना पड़ता है।

Anonymous said...

as far as i think there is nothing bad in online marriage if u do it full enquiry about that particular boy or girl.it is not that every time online marriages fail.i have seen many case where couples are happily enjoying there life after doing online marriages.in todays time noone has time to fully devote there life in finding good boy or girl for the respective person so in this way online marriages are helping a lot.

Anonymous said...

aapke is vichar ka main samarthan karta hun. ye aaj ekbari samasya banti ja rahi hai.isse bachne ke liye sabse pahale hame satark hona parega. hame vigyapan aur website ke bharose nahin rahna chahiye.hame sabhi sachchaiyon ka pata khud lagana chahiye.tabhi ek achha faisala lena chahiye. jo hamare bachchon ke liye sukhad hoga.

Anonymous said...

shadi do logon ki zindagi ka ek aham fasla hota hai. jisme do logon ko puri zindagi bitani hoti hai to aise fasle meri rai main to online bilkul sahi nahi hai.

Anonymous said...

yaha main online marriage ke samarthan me hoon kyonki online marriage ne remort area ke logo ko joda hai. puri duniya ke logo ko ek risty ki dor me bandha hai, ab kuch log is ka durupyog karte hai to ye unki ndany hai

Anonymous said...

manish ji mai batana chauanga ki kisi bhi on line kam me 100% ki surity nahi hoti jahan tak online shadi ka sawal hai isme kabhi kabhi khatra ya dhoka to hota hai parantu log time ki kami ke karan aaj kal online subida ka upyog kar rahe hai. hame online subidha ka upog to karna chaiye per usme bhi savdhani baratnee chaiye taki kahi koi dhoka na ho jaye jahan tak vivah jaise kamo ki baat hai hame kafi jaanch -partal kar hi aaje barhana chaiye